Zikr-e-shab-e-firaq se vahyshat use bhi thi - Mohsin Naqvi

Zikr-e-shab-e-firaq se vahyshat use bhi thi 

Zikr-e-shab-e-firaq se vahyshat use bhi thi 
Meri tarah kisi se mohabbat use bhi thi 
Mujh ko bhi shauq tha nae chehron ki diid ka 
Rasta badal ke chalne ki aadat use bhi thi 
Ic raat der tak vo raha mahv-e-guftugu 
Masruf main bhi kam tha faraghat use bhi thi 
Mujh se bichhar ke shahr men ghul-mil gaya vo shaḳhs 
Halanki shahr-bhar se adavat use bhi thi 
Vo mujh se baahr ke zabt ka aadi tha ji gaya 
Varna har ek saans qayamat use bhi thi 
Sunta tha vo bhi sab se purani kahaniyan 
Shayad rafaqaton ki zarurat use bhi thi 
Tanha hua safar men to mujh pe khula ye bhed 
Saae se pyaar dhuup se nafrat use bhi thi 
'Mohsin' main us se kah na saka yuun bhi haal dil 
Darpesh ek taaza musibat use bhi thi 

Poet: Mohsin Naqvi

Post a Comment

0 Comments